Kask Phirse Meri Aakhn Khule Hindi Poem by Roshan Singh


Kask phirse meri aakhn khule,
Ek chote se bachche mai, 
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
Kash mera ye bis saal us bachche ka sapna hota,
kash phirse mujhe jine ka ek aur mouka milta,
Kash mera bachpan phir se mujhe milta,
Sudhar lunga mujh se hui har galti ko,
Mana leta mujhse rutha har hasti ko,
Phirse mujhe jina hai,
Phirse bara hona hai,
Isbar man laga ke parhunga,
Khud ko kavi cheat nai karunga,
Khud se kavi galti nai karunga,
Har galti ko sudharta chala jaunga,
Kash phirse meri aakkhn khule,
Ek chote se bachche mai,
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
kash phir se ji sakun mai wo sunahra din,
Ma k god mai khelta rahun har gum k bin,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Papa k kandhe pe ghuma karta tha mai,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Ma papa ka dulara tha mai...!!!

Sad Urdu Shayari Image for Facebook Post from Syeda Jiya


Meri zindagi maang kar wada bhi liya us ny
Umar bhar hansti rho apny nseebon ke kheal par...!!!

2 Line Shayari,SMS In Urdu And Hindi With Images & Lovely Pics


Is sy ziyada or kiya dard dein ham apny aap ko
Ye kafi hai kay ham tery bin rahny lagy hain...!!!




Soch rakhi han buhat si batein tumahin sunany ko
Tum ho y aaty hi nahi hamein manaany kay liye...!!!




Beth jata hon khaak par aksar
Apni aoqat achi lagti hai mujhy...!!!




Aap ko jo dekha ham ny maano zindagi mil gayi ho
Aap ka piyar payaa hamny maano janat mil gayi ho...!!!




Hunar hai hum mein darya ka nikal jaein har janib
Kay lahroon ki tarha Sahil sy takraya nahi karty...!!!





Dastaan hazar kah gaye wo hazaron nayi
Kitabein fazol aaj tak ham parhty rahy...!!!





Ye bhi ik ishara hai afat-e-nagahani ka
Kisi jaga sy parindon ka kooch kar jana...!!!





Talkh itni thi ky peeny sy zuban jalti thi
Zindagi aankh ky pani mein mila li main ny...!!!